Khanabadosh - A beautiful Sufi word meaning one who carries his house on his shoulders. One who doesn't get rooted, his feet does not get planted.
Mirza Ghalib said 'Sair Kar Duniya ki Ghalib, Yeh Zindgani Fir Kahan....Zindgani Rahi Bhi Agar ... Yeh Naujawani Fir Kahan...
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -


Monday, September 26, 2011

Kuch yaadein .. kuch baatein



ek bund mutthi mein ... kuch saath laya hoon ..
dekhogi ? dikhlaoun?
boojhogi ? batlaoun ?
woh jo dekha tha tumko
pehli baar ...
ek kaale 'top' me ...
Metro ke bahar ...


aur bhi kuch hai ... is bund mutthi mein ...
dekhogi ? dikhlaoun ?
boojhogi ? batlaoun ?
woh bus ka mera safar ...
tum thee saath... phone par ...


aur bhi kuch hai .. .
jo tum peechey chhod aayi thee ...
saath laaya hoon ...
dekhogi ? dikhlaoun ?
boojhogi ? batlaoun ?
woh tumhari bindi ...
mere kaandhey pe reh gayi thee ..
sambhal ke rakhi hai...
us din pehli bar, tum kuch keh gaye the....


meri aankhon mein, aur ek yaad bund hai...
dekhogi ? dikhlaoun ?
boojhogi ? batlaoun ?
woh raat ko dar ke sapney me..
kiya tha mujhey phone ...
sirf main he yaad aaya ..
itna pyaar karega kaun ...

aur bhee hain yaadein ... aur bhee hain baatein ..
poochogi ? sunaaon ?
muskaogi ? batlaoun ?
chalo jaaney do ...
milogi toh bataunga ...
tumhey sharmata dekh ...
main bhi muskaunga ....

No comments:

Post a Comment