Khanabadosh - A beautiful Sufi word meaning one who carries his house on his shoulders. One who doesn't get rooted, his feet does not get planted.
Mirza Ghalib said 'Sair Kar Duniya ki Ghalib, Yeh Zindgani Fir Kahan....Zindgani Rahi Bhi Agar ... Yeh Naujawani Fir Kahan...
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -


Tuesday, July 19, 2011

Khamoshi ....

Kal se dil parishan hai, chaayi hai aaj udaasi,
jo zubnan na bol payee, shayad kehti hai meri Khamoshi...


kabhi hai inkaar, kabhi hai ikraar khamoshi,
aaj teri nazar ki madhoshi, se hai chaaye, khamoshi...


ek jaam, teri muskaan aur ek tera ishaara khamoshi,
kal chod gayi, mere kaandhey pe ek teri zulf, teri khamoshi...


teri ada, teri haya aur tera husn khamoshi,
teri aankh se ek katra gira, aur chaayee khamoshi...


na tu bol kuch, na mein bolun kuch, bus thaam mera haath,
aur rehney de, pal do pal zara, mere yaar, khamoshi


mere chaley janey se na padega kuch fark,
yeh tera kehna.....aur yeh meri khamoshi...


kehna tha bohot kuch, par zuban ne na diya saath,
tu samajh mere dost, yeh meri khamoshi .......